Aap jo mile ek pal ke liye
toh samjho lamha ban gaya,
dekha jo tumhe
toh samjho din bangaya,
kitne haseen hoti hai
har wo cheez jo tum se judi hai,
aakhir hamari zindgi bhi tanha padi hai,
ek saath jo tumhara ho jaye
toh ye zindgi bhi haseen ho jaye…
Kabhi kabhi shaq hota hai,
kya pyar bhi kahin hota hai,
maa se badh kar koi nahi,
phir kyon har ladka ,
ek ladki ke liye itne kuch khota hai…
Bhir hogi shahar ke har mod par,
Mujhe to soona ye shahar lagta hai.
Main to jita hun ek lash ki tarah,
Bina uske jeena muhal lagta hai…
No comments:
Post a Comment